Islam Mein Aurat Ka Martaba Aur Izzat

Yun to Duniya me Mard aur Aurat ke Hazaaro Rishte Hai Magar Haqiqat me Ek Aurat ke Mard se Sirf Chaar Rishte Hai.
  1. Maa
  2. Bahan
  3. Biwi
  4. Beti
Inke alawa is Duniya me Jitni bhi Aurate hai Mard ke Liye Wo Tamam Naa-Mehram Hai. Aaj Hm isi pr Baat Karenge islam ne Aurat ke in Roopon ko Kya Maqaam aur izzat Di Hai.

Islam Mein Aurat Ka Martaba Aur Izzat


Maa Ke Roop Mein:

Pyaare Aaqa Huzoor  ne Farmaya
Ek insaan Baargaahe Risalat me Haazir Hua Aur Arz ki Yaa Rasulullah  Mere Husne Sulook ka Sabse Bada Huqdaar Kon Hai to Aapne Farmaya Tumhari Maa Usne Phir Pucha Aapni Phir Farmaya Tumhari Maa Is Tarah Aaqa Kareem  Ne Teen Baar Yahi Jawab Diya. Aur Ek Jagah Faramaya Jannat Maa ka Qadmo ke Niche Hai. Sunan Nisai Hadees Nu. 3106.

Dekhiye ALLAH Ta'ala ne Maa ko Kitni izzat ata Farmai ki Jis Jannat ki Hr Musalmaan Khwahish Rakhta Hai Wo Jannat ALLAH ne Maa (ek Aurat) ke Qadmo ke Niche Rakh Di.

Behen Ke Roop Mein:

Pyaare Aaqa Huzoor  ne Farmaya Jis Shakhs Ki 3 Betiyan Ho Ya 3 Behne Ho Aur Wo Unke Saath Acha Suluk Kare Toh Wo Jannat Me Jayega. Kuch Logo ne Arz ki Agar 1 yaa 2 ho to Phir Aap Ne Farmaya Uske Liye Bhi Yahi Sawab Hai.
Al Adbul Mufrad (Imam Bukhari) Hadees No-79.

Maa Baap ki Maut ke Baad Biwi ki Baato me Aakar Kai Log Apni Bahan se Bigaad Kr Lete hai Aur Unse Bolte tk Nahi Magar Dekhiye Pyare Aaqa Kareem  ne Apni Bahan ke Sath Accha Sulook Karne wale Ko Jannati Qaraar De Diya.

Biwi Ke Roop Mein:

Pyaare Aaqa Huzoor  ne Farmaya Imaan Me Sabse Kaamil Momin Wo Hai Jo Sabse Behter Akhlaq Wala ho, Aur Tum me Sabse Wo Hai Jo Apni Biwi Ke Haq Me Behter Ho.
Sunan Ibn Maja Hadees No-1978.

Koi Momin Mard Apni Momina Aurat Se (Yaani Apni Biwi Se) Bugz Na Rakhe, Ager Uski Koi Adaa Napasand Hai Toh Dusri Pasand Hogi. Sahih Muslim Hadees Nu. 3645

Aajkal Log Chhoti Chhoti Baato pe Biwi pe Hath Utha Lete hai Unhe Huzoor ke in Mubarak Farmaan Ko Sunna Chaiye.

Beti Ke Roop Mein:

Pyaare Aaqa Huzoor  ne Farmaya Jis Shakhs Ki Do Betiyaan Ho Aur Wo Uske Saath Acha Suluk Kare Achi Parwarish Kare Jab Tak Wo Baalig Ho Jaaye to Nikaah Karde To Dono Betiyaan Use Jannat Me Le Jayegi.
Sunan Ibn Maja Hadees Nu. 3670

Yahi Sawab ek Beti pr Bhi Hai

Ye Haqiqat hai ki Kai Log Aaj bhi Betiyo ko Bojh Samajhte hai Magar Dekhiye islam ne Beti ko Kitna Uncha Muqaam Ataa Kiya ki Khusdili se Apni Beti ki Acchi Deendaar wali Tarbiyat Karna Phir Ek Nek Ladke Se Uska Nikaah Karna insaan ke Liya Jahannum se Bachaw Sabit Ho Jayega.



Sauteli Maa, Khala, Phuphi, Daadi, Naani ye bhi Maa ke Jaisi hi Hai.
Sauteli Bahan aur Rajaai (Dudh Shareek) Bahan bhi Sagi Bahan ki Tarah hi Hai.
Sauteli Beti, Bhatiji, Bhanji, Pauti, Nawasi aur inki Betiyaan Sabhi Beti ki Tarah hi Hai. Inke Alawa Duniya me Jitni bhi Aurate hai wo Tamam Naa-MehramNaa-Mehram hai.

Naamehram Aurato ka bhi Huq Hai, Woh Janne se Pahle Hm Ek Bahaya aur Bahaya Aurat ki Khwaish aur Chahat ke Baare me Baat Karenge. Ek Behaya, Baazaru aur Badqirdaar Aurat ye Chahti hai ki Log Uski Taraf Dekhe Aur Uski Khubsurati ko Nihaaren.

Wahin ek Baa Hayaa Sharif aur izzatdaar Aurat Chahe Kisi bhi Deen-Dharam Ye Chahti hai ki Use Koi Naa-Mehram Naa Dekhe, Uska Husn Sirf Uske Shauhar ke Saamne Zaahir Ho. ALLAH ne Aurat ki is Chahat ko bhi Uska Haq Bana Diya Aur Apne Kalaame Paak me irshad Farmaya:
Musalmaan Mardo ko Huqm do Apni Nigaahe Kuch Nichi Rakhe Aur Apni Sharmgaaho ki Hifazat Karen. Al Quraan Kanzul imaan 24:30.


To Ab Aap Jaan Gaye hai ki Jo izzat wo Martaba Aurat ko islam ne Ataa Kiya hai Wo Naa to kisi Dusre Religion aur Naa hi Kisi Mulk ke Constitution ne Diya hai.

Aaj islam ke Dushman Hamari Aurato ko Yahi Jhut Bolte hai ki Islam me Aurato ki izzat nahi hai isliye Unke is Jhute Khel ko Barbaad Karne ke Liye is Post ko Zyada se Zyada Share Karen.

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url