Mehram Aur Na Mehram Kon

Mehram Aur Na Mehram Kon

Mehram Log

Jin logon se Nikah haiz nahi hai.

1-Baap, Daada, par daada, Naana, parnaana.
2- Maan ke daada, naana.
3- Baap ke daada, naana.
4- Beta, Pota, parpota, Nawaasa, parnawaasa.
5- Bhai, Bhateeja, Bhaanja.
6- Chacha, Taaya, Maamu.
7- Maan ke Chacha, Taaya, Maamu
8- Ваар ке Chacha, Taayа, Маати.
9-Razaa't ke rishte se Baap, Bhai wagaira.
10- Susar aur Daamaad.

Note:- Mard ke liye in sabke opposite gender

Na Mehram Log

Jin logon se nikah haiz h aur parda wajib

1 Khaala zaad, Maamu zaad, Chacha zaad, Taaya zaad aur phupi zaad bhai.
2 Phupa, Khaalu, Behnoyi.

3 Shohar ke bhai, (Devar, Jethh] Maamu, Chacha, Taaya, Phupa, Khaalu. 4 Shohar ke Chachazaad, Taayazaad, Maamu zaad, phupi zaad aur Khaala zaad bhai.

5 Tamaam ajnabi mardon se aurat ko parda karna waajib hai, khule munh un ke saamne aana jaaiz nahin hai.

Note :- Mard ke liye in sabke opposite gender

Point 9
Raza'at ke rishte se bhai bhai wagera. iska matlb ye ki jese pehle bachon ko doodh pilane wali hoti thin ese hi agr kisi bachhe ko ma ke alawa kisi aurat ne ese doodh pilaya ho to uski aulad bhi iske Bhai behn ban jayenge wo aular maa aur baap, mtlb bilkul bhai behn ki trha hi ho jate hain, aur ese hi aage sab mehram aur na Mehram

Isliye Agr koi Apne khandan m nikah karta h to is cheez ka dhiyan rakhen,

Mehram log

Mehram logon se Parda karna wajib nahi h, agr koi galat shaks h to usse zaroor karen (kon galat hota h wo pata chal jata h), aur mehram logon ke samne bhi thoda haya ke sath rahen, sirf shohar/biwi hi ese hain jinse satar ka bhi parda nahi hota.

Na Mehram

Na Mehram to na Mehram hote hain, koi zaban se bhai bole behn bole mgr Jo shareeat ne huqm diya h agr insaan use follow kare to uske liye bht behtr hai.
Next Post
No Comment
Add Comment
comment url