Shauhar Aur Biwi Ki Ajeeb Kahani

Assalamualaikum mere doston, is post mein main aapko bataya hun ek Shauhar Aur Biwi Ki Ajeeb Kahani. Aap is post ko last tak zarur padhen insha'allah aapko bohat fayda hoga.

Shauhar Aur Biwi Ki Ajeeb Kahani

Tum aur Mai kabhi Biwi aur Shauhar the, Phir tum Maa ban gayi aur Mai Baap ban ke reh gaya.

Tum ne ghar ka Nizaam Sambhala aur Maine Zariya-e-ma'aash ka aur Phir Tum "Ghar sambhalne wali Maa" ban gayi aur Mai Kamaane wala Baap ban kar reh gaya.

Bacchon ko Chot lagi to Tumne Gale lagaya aur Maine Samjhaaya Tum Muhabbat karne wali Maa ban gayi aur Mai sirf Samjhaane wala Baap hi reh gaya.

Bacchon ne Ghaltiyon ki, Tum Unki Himayat kar ke "Understanding Mom" ban gayi aur Mai "Naa Samajhne wala" Baap ban ke reh gaya.

"Baba Naaraaz honge" ye keh kar Tum Apne Bacchon ki "Best Friend" ban gayi... aur Mai Gussa karne wala Baap ban kar reh gaya.

Tum saara Din Bacchon se Raaz o Riaaz karte hue Apna Mustaqbil Mahfuz banaate hue Bacchon ke  Zehnon me Ghar karti chali gayi... Aur Main Sirf Ghar ka Mustaqbil banaane ke liye Apna Aaj barbaad karta chala gaya.

Tumhare Aansuon me Maa ka Pyaar Nazar Aane Laga aur Mai Bachon ki Aankhon me Sirf Be'Reham Baap ban kar reh gaya.

Tum Chaand ki Chandni banti chali gayi aur pata nahin kab Mai Suraj ki tarah Aag Ugalta Baap ban kar reh gaya.

Tum ek "Raham Dil aur Shafeeq Maa" banti gayi aur Mai tum sab logon ki Zindagi ka Bojh Uthane wala Sirf ek Baap ban kar reh gaya.

Ye ek intehaai talkh Mu'aasharati Tasveer hai. Bahut Km Aisi Maayen Milti hain jo Apne Bacchon ke Samne unke Baap ka muqam Buland kar ke rakhti hain Jo Bacchon ko ye Batati hain ke Kaise Unka Baap Apne Aage ka Niwala Apne bacchon ko Khila kar Khud Bhuka reh jaata hai.


Kaise Ek Baap Sara din Apne Bacchon ke Rizq ke liye mara mara phirta hai. Apne Bacchon ke Behtar Mustaqbil ke liye kya kya Qurbaniyaan deta hai.

Aur Kin Kin Takleef ka Samna karta hai, Kis Tarah Unko Unke Pairoon pr Khada Karne ke liye Apne Aap ko Barbaad kar leta hai, Khud ko Khatam kar leta hai. Tab Kahin Jaakar Aulaad kisi Qabil banti hai.

Magar Aulad ko ye batane aur Samjhane wali Maayen Unko ye nahin bata paati hain. Isi liye Aulaad us Waqt tak is Baat ko Samajh hi nahin paati Jab Tak wo Khud Baap naa ban jaaye aur tab tak bahut der ho Chuki hoti hai.
Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url