Kiya Muslim Kaaba Ki Ibadat Karte Hain

Nahi, Muslim Kaaba ki Ibadat nahi karte.

Wo Bass Allah ka Huqm mante hain, Aur uski TRF ho kar Ibadat karte hain.

Kiya Muslim Kaaba Ki Ibadat Karte Hain



Non Muslim aur Wo log jinhe ilm bht kam h wo ye sochte hain ki Muslim bhi Kaaba ki Ibadat karte hain, jese baki non muslim unki karte jinhe wo apna khuda mante hain. Jabki esa nahi h, ye galat hai.

Allah ka Huqm hua to ham muslim Kaaba ki taraf ho kar Ibadat karte hain, jabki isse pehle Masjid e Aqsa ki tarf ho kar Ibadat kiya karte the, fır Allah ne Qur'an Surah Baqarah ayat 144 main farmaya ki apna direction change Karen aur Kaaba ki trf ho kar Ibadat kiya karen.

Esi hi bahut c cheezen hain jo dikhne m esa Igti hain jese sab non muslim karte hain wese hi ham karte hain. Mgr wo alg hoti h, Islam m koi patthar ya koi statue Mukaddas nahi hota, jab Tak Allah ka Huqm na ho.

Ese hi Kaaba ki Azmat aur Muhabbat ye sab Allah ka Huqm hai, Hazrat Umar Radiallahu anhu farmate the jab Kaaba aur Hajre Aswad ko bosa dete (matlb choomte) to kehte ki main ye sirf isiliye karta hon ki mene Rasulullah “ﷺ” ko karte dekha hai.
Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url